The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Madahosh Hava Matawali Fiza
0
Mohammed Rafi Shankar Jaikishan Shammi Kapoor, Vyjayantimala
Prince (1969) Farooq Qaisar Romantic Songs, Happy Songs
Lyrics of Madahosh Hava Matawali Fiza - मदहोश हवा मतवाली फ़िज़ा

madhosh hawa matwaali fiza sansaar suhaana lagta hai

kar le na kisi se pyaar kahi dil apna deewana lagta hai

rahi hu naya anjan dagar pyara hai bada jeevan ka safar

nikla hu main apni masti mein maalum nahin manzil hai kidhar

ye badhte hue bechain kadam aayenge thikana lagta hai
kar le na kissi se pyaar kahi dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza sansaar suhaana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahi dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza sansaar suhaana lagta hai

pal bhar ko na hum aaraam kare do hath hazaro kaam kare

kismat ki shikaayat kya karna bhagwan ko kyo badnaam kare
ek roz humare haathon se badlega zamana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahi dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza sansaar suhaana lagta hai

jo aag tumhare dil mein lage us aag me mera dil bhi jale

dhanwaan ho ya nirdhan ho koi data ki nazar mein ek hue
insaan se rishta insan ka is jag mein puraana lagta hai
kar le na kisi se pyaar kahi dil apna deewana lagta hai
madhosh hawa matwaali fiza sansaar suhaana lagta hai

najr hai kahi julfe hai kahi har baat jawa har baat hasi
mitata hai mera dil mit jaye tu apni adaye rok nahi
andaj-e-jawani kya kahiye thokar mein jaman lagta hai
tum apni najar ki bechain samjhogi nahi kamsin ho abhi
aata hai maja ab jine mein badh jaye hamari dil ki lagi
dekha jo tumhe to yaad aaya ye dard purana lagta hai