Lyrics of Duniya To Yeh Kehti Hai Insan Kahan Hai - दुनिया तो ये कहते है इंसानों कहाँ है
he bhagwan kaha hai
bhagwan, bhagwan
insan ne insan pe kya julm kiya hai
apna hi lahu tha jise hans hans ke piya hai
bichhade hue maao se ye aankho ke ujale
bichhade hue maao se ye aankho ke ujale
jhule se nikl kar hue kanto ke hawale
bhagwan, bhagwan
is desh ki vo deviyan nangi hui tan se
uth uth ke nikalti thi jo suraj ke kiran se
mandir me na bhakti hai, na masjid me ada hai
aawaz de soye hue bhagwan kaha hai
bhagwan, bhagwan
manjil hai kahan inki ki kaha jaye ye rahi
hai chhai hui raah me kismat ki syahi
phulo ko taraste hai jo rahte the chaman me
begane hue aaj ye apne hi vatan me
bhagwan jo tu hai to bata inko thikana
varna tujhe bhagwan kahega na zamana
bhagwan, bhagwan