The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Chorni Hu Mai Meri Surat Pe Na Jana
0
Lata Mangeshkar Shankar Jaikishan Neetu Singh
Chorni (1982) Shailendra Masti Bhare Geet
Lyrics of Chorni Hu Mai Meri Surat Pe Na Jana - चोरनी हूँ मैं मेरी सूरत पे ना जाना

chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai
chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai

raaj nahi koi taaj nahi mai apne dil ki raani
duniya ki daulat se badhke meri ye jawani
udna chahu dur kahi pe mai jaise ek panchi
gali gali bathkaye lekin mera daana paani
chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai

dandi maar ke lala dekho khare maal ko tole
rup jawani dekh ke iska kaise manva dhole
isko to per koi bhi kuch nahi kehta hai
mujhko hi fir reh reh ke har koi kyo bole
chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai

upar wale tune bhi ye kaise sab kuch bata
kahi note ko kide khaye kahi mile na aata
juth bol ke log yaha khada kare mehlo ko
sache ko per hota jaaye ghaate upar ghaata
chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai

tut gaya to mil jayega fir ek naya khilona
choti choti baato pe bache yu na rona
kismat tumse chahe khele jitni aankh micholi
bhule se majburi me mujh jaise na hona
chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai

chorni hu mai chorni hu mai chorni hu mai
meri surat pe na jaana apni jeb ko bachana
teer khake humne jaana ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai
chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana apni jeb ko bachana
teer khake humne jaana ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai

tut gaya to mil jayega fir ek naya khilona
choti choti baato pe bache yu na rona
kismat tumse chahe khele jitni aankh micholi
bhule se majburi me mujh jaise na hona
chorni chorni hu mai meri surat pe na jaana
apni jeb ko bachana teer khake humne jaana
ye duniya kisi ki nahi chorni hu mai chorni hu mai