The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Bujh Gaye Gam Ki Hava Se, Ham Dard Ke Maron Ka Itna Hi Fasana Hai
0
Talat Mehmood Shankar Jaikishan Dilip Kumar
Daag (1952) Hasrat Jaipuri Dard Bhare Geet
Lyrics of Bujh Gaye Gam Ki Hava Se, Ham Dard Ke Maron Ka Itna Hi Fasana Hai - बुझ गये ग़म की हवा से, हम दर्द के मारों का इतना ही फ़साना है

bujh gaye gam ki hava se, pyar ke jalte charaag
bevafaayi chaand ne ki, pad gaya isme bhi daag
ham dadr ke maaro kaa, itna hi fasaana hai
pine ko sharaab-e-gam, dil gam ka nishana hai
ham dadr ke maaro kaa, itna hi fasaana hai

dil ek khilauna hai, taqadir ke haatho me
dil ek khilauna hai, taqadir ke haatho me
takadir ke haatho me
marane ki tamanna hai, jine ka bahaana hai
ham dadr ke maaro kaa, itna hi fasaana hai

dete hai duaaye ham, dete hai duaaye ham
duniya ki jafaao ko, duniya ki jafaao ko
kyo unko bhulaaye ham, ab khud ko bhulana hai
pine ko sharaab-e-gam, dil gam ka nishana hai

hans hans ke bahaare to, shabnam ko rulaati hai
hans hans ke bahaare to, shabnam ko rulaati hai
shabnam ko rulaati hai
aaj apni muhabbat par, bagiya ko rulana hai
aaj apni muhabbat par, bagiya ko rulana hai
ham dadr ke maaro kaa, itana hi fasaana hai
pine ko sharaab-e-gam, dil gam ka nishana hai