Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
![]() |
Woh Jo Bekhauf Mohabbat Ka Hunar Deta Hai
|
Kunal Ganjawala | Sandesh Shandilya | Sunil Shetty | |||
Tum Milo Toh Sahi (2010) | Irshad Kamil | Sad Songs | |||||
woh jo bekhauf mohabbat ka
hunar deta hai, ha hunar deta hai
ha wahi shaks bichadne ka bhi
dar deta hai, ha darr deta hai
woh jo bekhauf mohabbat ka
hunar deta hai, ha hunar deta hai
pyar bhar deta hai udne ki tamanna dil mein
pyar bhar deta hai udne ki tamanna dil mein
aur mere pankh bhi pathar ke woh kar deta hai
woh jo bekhauf mohabbat ka
hunar deta hai, ha hunar deta hai
mere hisse ke khuda gum to mujhe milte hai
mere hisse ke khuda gum to mujhe milte hain
mere hisse ki tu sab khushiya kidhar deta hai
woh jo bekhauf mohabbat ka
hunar deta hai, ha hunar deta hai
rishta hi pyar ka hota hai ye kaisa rishta
rishta hi pyar ka hota hai ye kaisa rishta
tanha duniya se jo ladne ka jigar deta hai
woh jo bekhauf mohabbat ka
hunar deta hai, ha hunar deta hai
ha wahi shaks bichadne ka bhi
dar deta hai, ha darr deta hai