Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Wo To Chale Gaye Ai Dil Yaad Se Unaki Pyaar Kar
|
Lata Mangeshkar | Sajjad | Madhubala | |||
Sangdil (1952) | Rajinder Krishan | Sad Songs | |||||
wo to chale gaye ai dil yaad se unki pyaar kar

jine me kya maza raha maut ka intazaar kar

tujhko khushi se kya garaz gam hai tere nasib me

khushiyo ki aas chhod de gam ko gale ka haar kar
jine me kya maza raha maut ka intazaar kar
wo to chale gaye ai dil yaad se unki pyaar kar
bhul jaa din bahaar ke dekh na khaab pyaar ke

dil to nisaar kar diya jaan bhi ab nisaar kar