Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Unhen Bhi Raaz
|
Zohrabai Ambalewali | Rashid Atre | Rehana Sultan, Shamim, Yaqub | |||
Nateeja (1947) | Nakhshab Jaaravchi | ||||||
unhe bhi raaz-e-ulfat ki naa hone di khabar mai ne
unhe bhi raaz-e-ulfat ki naa hone di khabar mai ne
unhe bhi raaz-e-ulfat ki naa hone di khabar mai ne
nazar mil bhi gayi to khud bachaa li hai nazar mai ne
qadam jab mai ne rakhaa raah-e-ulfat me to duniyaa ne
qadam jab mai ne rakhaa raah-e-ulfat me to duniyaa ne
mujhe aavaaz di lekin naa dekhaa chauk kar mai ne
bhalaa gairo se kyaa matalab jo mai un se gila karataa
shikaayat tum se ki hai tum ko apanaa jaan kar mai ne
kahaan mai aur kahaan dair-o-haram ki kashmakash nakhshaab
kahaan mai aur kahaan dair-o-haram ki kashmakash nakhshaab
kisi ke naqsh-e-paa par rakh diyaa jab aaj sar mai ne
unhe bhi raaz-e-ulfat ki naa hone di khabar mai ne