Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Tu Ban Jaayegi Madhuri
|
Nitin Raikwar, Ritika Sahani | Amar Mohile | ||||
Main Madhuri Dixit Banna Chahti Hoon (2003) | Nitin Raikwar | ||||||
ae pata hai sara gaon teri hi baatein kar raha hai
tu itna accha kaise naach leti hai
main to kitni koshish ki par
tere bas ka nahi hai yeh sab
gajrala ki ek mamuli ladki hat
phir chutki kya hai
arre yeh to galti se paida hui gajrala mein
ise to hona chahiye tha bambai
sach didi agar tum bambai chali jao to
tehalka macha degi aapni chutki
to kare teri haan teri hai ucheta
ke main ban ke jahan meri jaan
na jane kudk ko tu hai kya
tu hai kya, tu hai kya
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
sare sapne samne hoge
ek do teen char paanch che saat aanth
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
hat kuch bhi bolti hai
ae chudi wale chacha apni chutki madhuri lagti hai ki nahi
bechta hoon chudiyan chudiyon ki kasam
arre tu hai kahan madhuri se kam
tu aapni kalyi hilayen to madhuri yaad aaye
arre sach keh raha hoon
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
sare sapne samne hoge
ek do teen char paanch che saat aanth
tu ban jayegi madhuri
tere khaasne mein bhi ek kasis hai
kuwaro ki neeindo pe bandis hai
ghusse mein bhi tu lage madhuri
yeh teri lat uspar lat us par natkhat
yeh naina matkaye to madhuri yaad aaye
arre to muskaye to madhuri yaad aaye
hat yeh kehne se phir kaise raha jaye
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
sare sapne samne hoge
ek do teen char paanch che saat aanth
tu ban jayegi madhuri
arre panditji jara iske haath to dekhna
haan haan kyon nahi kyon nahi
haath to bada nirala hai nirala hai
yuwo mein tera bolbala hai bolbala hai
jhoot bolu to tota udjaye
abhi abhi sigrahi tera samay aane wala hai
aanewala hai aanewala hai
arre dakshina to deti jaa yeh lo thenga
arre o chutki kya hai
gajab ki naachti ho gajab ki gaati ho tum
main haan tum
ujde huye chehro ko pal mein khilati ho tum
main haan tum
samosa kachodi yeh pede yeh bundi
yeh chamcham rasgulle barfi mallai
khaogi kya garam garam jalebiyan
ya mangwado main ek chai
hmm badi mithi mithi baatein kar rahe ho
zaroor hoga kuch kaam
meri munnia ki shaadi hai itwaar ki shaam
tumko naachna hoga tumko gana hi hoga
madhuri ki tarha dil behlana hi hoga
arre meri madhuri filmo mein naachti gati hai
aise waise shaadiyon mein nahi
paise denge to wo bhi maan to aayegi
tu kyon itna itrarahi hai
sahi to keh raha hai raja tum bhi
arre tum jab chaho humko nacha sakti ho
aur khudke yeh tewar
tewar kyon nahi honge
yeh humare gajrola ki madhuri hai
teri kya aukat hai
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri bambai jane ki hai deri
tu ban jayegi madhuri
ae madhuri ae madhuri ae madhuri