Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
![]() |
Sunaa Mandir Meraa Sakhi Ri
|
Amirbai Karnataki | Khemchand Prakash | ||||
Bharthari (1944) | Pt. Indra Chandra | ||||||
sunaa mandir meraa sakhi ri
sunaa mandir meraa sakhi ri
jagamag jagamag dip jalaaun
jagamag jagamag dip jalaaun
pi bin phir bhi andheraa sakhi ri
pi bin phir bhi andheraa sakhi ri
sunaa mandir meraa sakhi ri
sunaa mandir meraa
pi ko dhundhun mai kujan me
pi ko dhundhun mai kujan me
bolaa koi pi pi ban me
bolaa koi pi pi ban me
ye to papihaa, piyaa nahi hai
ye to papihaa, piyaa nahi hai
pi bin rain saveraa sakhi ri
pi bin rain saveraa sakhi ri
sunaa mandir meraa sakhi ri
sunaa mandir meraa
nain jharoke sune saare
nain jharoke sune saare
sune hai palako ke dwaare
sune hai palako ke dwaare
bin saajan ye raaj bhavan bhi
bin saajan ye raaj bhavan bhi
hai jogi kaa deraa sakhi ri
hai jogi kaa deraa sakhi ri
sunaa mandir meraa sakhi ri
sunaa mandir meraa