Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Soti Hai Ye Raat Sone Do, Neend Me Jahaan Ko Kohne Do
|
Anuradha Paudwal, Kishore Kumar | Rajesh Roshan | Shashi Kapoor, Amitabh Bachchan, Parveen Babi, Hema Malini | |||
Do Aur Do Paanch (1980) | Anjaan | ||||||
soti hai ye rat sone do nind me jaha ko khone do
geet mere tum to suno tum kahi so mat jana
soti hai ye rat sone do nind me jaha ko khone do
geet mere tum to suno tum kahi so mat jana
paas to aao tumhe sunau ek maje ki bat
laut rahe the picnic se hum raste me ho gayi rat
kahi achanak shor utha mude jo hum to kya dekha
bhut bhut bhut chupke kaha jaoge aaj na bacha paoge
fir chintu ne ki chaturayi jadu ki bansri bajai
jhum jhum ke aisi tan bajai un bhuto ki shamat aayi
nach nach behal hue har ki dene lage duhai
chhod de hamko jane bhi do
soti hai ye rat sone do nind me jaha ko khone do
geet mere tum to suno tum kahi so mat jana
ye waqt hamse badal ke aankhe koi sitam na dhaye
palak lage to bas ek badal me shama badal na jaye
dekho idhar chupo na raho kuch to suno kuch to kaho
ji karta hai aaj mai sare jag ki aankh se nind uda du
soti hai ye rat sone do nind me jaha ko khone do
geet mere tum to suno tum kahi so mat jana