Lyrics of Shyam Salone Samne Aao - श्याम शलोने समाने आओ
jaat paat puchhe na koi
hari ko bhaje so hari ka hoi
shyam salone samne aao
shyam salone samne aao
darshan dekar laaj bachao
darshan dekar laaj bachao
shyam salone samne aao
murat bin mandir hai suna
pran bina jo kaya
murat bin mandir hai suna
pran bina jo kaya
aisi bhool bhayi kya mose
mukhda tumne chhupaya
in akhiyan ki, in akhiyan ki
pyaas bujhao, pyaas bujhao
shyam salone samne aao
shyam salone samne aao
mor mukut mukhda man bhavan
adhar murliya sohe
nat nagar ka roop suhavan
nat nagar ka roop suhavan
bhagtan ka man mohe
murli manohar dars dikhao, dars dikhao
shyam salone samne aao
shyam salone samne aao
unch nich ka bhed bhaav
kya tum bhi ab karte ho
unch nich ka bhed bhaav
kya tum bhi ab karte ho
duniya jise bada samjhe
uski jholi bharte ho
badal gaye kyun, badal gaye kyun
mujhko bataao, mujhko bataao
shyam salone samne aao
shyam salone samne aao
sunte hai dukhiya jo tumhe pukaare
dur ho pal me uske dukhde saare
apno ko itna bhi nahi rulaao
ek baar phir prem ki bansi bajaao
bhed bhaav ko is duniya se mitaao
andhiyare me phir prakash failao
chhupe kaha ho
chhupe kaha ho ab to samne aao
samne aao, samne aao