The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Sathiya, Sathiya, Pagle Se Dil Ne Ye Kya Kiya
0
Ajay Gogavale, Shreya Ghoshal Ajay Gogavale, Atul Gogavale Ajay Devgan, Kajal Aggarwal
Singham (2011) Swanand Kirkire Romantic Songs
Lyrics of Sathiya, Sathiya, Pagle Se Dil Ne Ye Kya Kiya - साथिया, साथिया, पगले से दिल ने ये क्या किया

sathiya, sathiya
pagle se dil ne ye kya kiya
chun liya chun liya
tujhko diwane ne chun liya
dil to uda uda re asmaan me
badlo ke sang
ye to machal machal ke ga raha hai
surmayi si dhun
badmash dil to thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada
badmash dil to thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada

acchi lage dil ko mere har teri baat re
saya tera ban ke chalu itna hai khwab re
kandhe pe sar rakh ke tere kat jaye rat re
bite hai din thame tera hatho me hath re
ye kya hua mujhe mera ye dil
fisal fisal gaya
ye kya hua mujhe mera jahan
badal badal gaya
badmash dil to thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada
badmash dil to thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada

ninde nahi chaina nahi badlu mai karwate
tare ginu ya mai ginu chadar ki salwate
yado me tu khwabo me tu teri hi chahte
jau jidhar dhoonda karu teri hi aahate
ye jo hai dil mera ye dil
suna na keh raha yehi
woh bhi kya zindagi hai
zindagi ki jis me tu nahi
badmash dil toh thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada
sathiya, sathiya
pagle se dil ne ye kya kiya
chun liya chun liya
tujhko diwane ne chun liya
dil to uda uda re asmaan me
badlo ke sang
ye to machal machal ke ga raha hai
sun nayi si dhun
badmash dil to thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada
badmash dil to thag hai bada
badmash dil ye tujhse juda
badmash dil meri sune na zid pe ada