The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Lyrics of Sajna Tere Bina Kya Jina - सजना तेरे बिन क्या जीना

sajna tere bina kya jina
sajna tere bina kya jina
tujh bin suni meri man beena
man beena man beena

sajni tere bina kya jina
sajni tere bina kya jina
tune khud ko mujhse
kyu china kyu china kyu china
sajna tere bina kya jina
sajni tere bina kya jina

tujhe kya kahu tujhse muh kyu hai moda
mohabbat ka mandir hai kyu maine toda
mere devta maf karna mujhe tu
mukaddar ne mujhko kahi ka na choda
kahi ka na choda
tujh bin suni meri man beena
man beena man beena
sajna tere bina kya jina
sajni tere bina kya jina

kinara kiya tune humdum waha se
rahi do kadam apni manjil jaha se
mai kaise najaro se najre milao
kaha jau bachkar jami aasma se
jami aasma se
tune khud ko mujhse
kyu china kyu china kyu china
sajni tere bina kya jina
sajna tere bina kya jina

khayalo se apne mujhe door karde
tu yaado ka wo aaina choor karde
mujhe dar hai vehshat kahin mere dil ki
mujhe na tabaahi pe majboor karde
na majboor karde
tune khud ko mujhse
kyu china kyu china kyu china
sajna tere bina kya jina
sajni tere bina kya jina