The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Sab Kuchh Karna Is Duniya Me Pyaar Na Karna Bhool Ke
0
S D Batish, Asha Bhosle Madan Mohan
Ada (1951) Saraswati Kumar Deepak Sad Songs
Lyrics of Sab Kuchh Karna Is Duniya Me Pyaar Na Karna Bhool Ke - सब कुछ करना इस दुनिया में प्यार ना करना भूल के

sab kuch karna is duniya me pyar na karna bhul ke
kabhi kisi se apni ankhen char na karna bhul ke
ji pyar na karna bhul ke sab kuch kehna ye mat kehna
pyar na karna bhul ke nazre mila ke ulfat se
inkar na karna bhul ke ji pyar na karna bhul ke

pyar kiya tha parwane ne shama ne usko jala diya
jalne ka hi nam hai milna pyar ne unko mila diya
milne ki is reet ko tum aktyar na karna bhul ke
kabhi kisi se apni ankhen char na karna bhul ke
ji pyar na karna bhul ke

pyar karoge pachataoge ye duniya badnam karegi
badanam karegi lakh kare badanam mohabbat
apna uncha nam karegi apna uncha nam karegi
aise unche nam ka tum byopar na karna bhul ke
kabhi kisi se apni ankhen char na karna bhul ke
ji pyar na karna bhul ke

pyar karenge nahin darenge bina pyar ke duniya kya hai
duniya kya hai bina pyar ki duniya sachchi
pyar ki duniya me dhokha hai pyar me dhokhe ki baten
sarakar na karna bhul se kabhi kisi se

sab kuch kehna ye mat kehna pyar na karna bhul ke
nazre mila ke ulfat se
inkar na karna bhul ke inkar na karna bhul ke
sab kuch kehna ye mat kehna pyar na karna bhul ke
nazre mila ke ulfat se
inkar na karna bhul ke inkar na karna bhul ke