Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Mera Mazi
|
Meena Kumari | Khayyam | ||||
I Write, I Recite (Meena Kumari) (0) | Meena Kumari | ||||||
mera maji meri tanhai ka ye andha shigaaf
ye ke sanso ki tarh mere sath cahlta raha
jo meri nabj ki manind mere sath jiya
jisko aate huye jate huye beshumar lamhe
apni sangalakh ungaliyo se
gahara karte rahe karte gaye
kisi ki ok paa lene ko lahu bahta raha
kisi ko ham-nafas kahne ki justuju mein raha
koi to ho jo besakhta isko pahchane
tadap ke palte achanak ise pukar uthe
mere ham-shakh mere ham shakh
meri udasiyo ke hissedar
mere adhurepan ke dost
tamam jhkhm jo tere hai mere dard tamam
teri karah ka rishta hai meri aaho se
tu ek masjid-e-viraan hai main teri anjan
anjan jo apni hi viranigi se takra kar
thaki chhupi bewa jami ke daman par
padhe namaj khuda jane kisko sijda kare