The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Lyrics of Kurbaan Huwa - कुर्बान हुआ

kurbaan hua teri tishnagi mein yun
kurbaan hua teri aashiqi mein yun
bekhudi mein bekali mein bekasi mein hua
tujhko har dua di, aur daga bhi, aur fanaa hua
kurbaan hua, kurbaan hua
ada pe, wafaan pe, jafa pe
kurbaan hua, kurbaan hua

rubaru hai tu magar, tanha hai ye jahaan
jal uthe meri kufr se saanson ka ye sama
kya hua pal mein jaane kho gaya kyon
tu mila aur juda imaan hua yun
bekhudi mein bekali mein bekasi mein hua
tujhko har dua di, aur daga bhi, aur fanaa hua
kurbaan hua, kurbaan hua
ada pe, wafaan pe, jafa pe
kurbaan hua, kurbaan hua

marne ka sabab maangta raha darbadar
mitne ko to dil pal mein raaji hua
puri huyi har aarju har daastaan meri
ke tum shuru huye jaha, main khatam hua
kurbaan hua, kurbaan hua
ada pe, wafaan pe, jafa pe
kurbaan hua, kurbaan hua