The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Lyrics of Koi Patthar Se Na Mare Mere Diwane Ko - कोई पत्थर से ना मारें मेरे दीवाने को

laila ki saans ki dor bandha
wo deewana wo majanu hai
wo hosh nahi behosh baawara
nahi jaanta wo kyun hai
behosh use rehne do, ki hosh mein wo aayega
to neend mein uski laila ka
wo khwaab tut jayega, wo khwaab tut jayega
wo khwaab tut jayega

koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
so bhi lene do, uska dard yahi hai, dawa yahi hai
so bhi lene do, uska din yahi hai, jahaan yahi hai
so bhi lene do, ki wo jaag pada to dar jaayega
phir bilakh jaayega ki pahlu mein laila nahi hai
maut bhi ghabraayegi, maut bhi ghabraayegi
paas mein aane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko

rakhna sambhaal ke ye patthar
kal ko wo din bhi aayega
jab patthar honge ye makaan
inki bhi hogi ek zubaan
ki dastan-e-laila majnu, shaqs shaqs dohraayega
patthar ka dher ye aaj ye kal ka
tajmahal kehlaayega
nahi mil payega, nahi mil payega
phir waqt tumhein pachhtaane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko
koi patthar se na mare, koi patthar se na mare
mere deewane ko, deewane ko