| Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
|---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kaun Jivan Me Mere Samaye Ja Raha Hai
|
Zohrabai Ambalewali | Govind Ram | ||||
| Hamara Sansar (1945) | Ramesh Gupta | ||||||
| Scale -NA- | Raag -NA- | Taal -NA- |
kaun jivan me mere samaye ja raha hai - (2)
kaun mann pe mere chhaye ja raha hai
kaun jivan me mere samaye ja raha hai
kaun barakha kee kalee kalee rat me - (2)
ban ke saya chal raha hai sath me - (2)
kaun dipak ban ke rah dikhala raha hai
kaun jivan me mere samaye ja raha hai - (2)
koyee sathee naa tha koyee mit naa tha - (2)
mere sunee vina me koyee git naa tha - (2)
kaun mithe suro se yeh gaye ja raha hai - (2)
kaun mann ko mere lubhaye ja raha hai - (2)
kaun jivan me mere samaye ja raha hai - (2)