The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Kasam Hai Tujhe Mere Inn Aansuo Ki (Kisi Se Na Kehna)
0
Asha Bhosle Roshan
Noor Jehan (1968) Shakeel Badayuni Mujra Songs
Lyrics of Kasam Hai Tujhe Mere Inn Aansuo Ki (Kisi Se Na Kehna) - कसम हैं तुझे मेरे इन आँसुओं की(किसी से ना कहना)

salam pehle to kuch bekarar hoke kaha
garib ishq ne phir, nana barse ro ke kaha
kasam hai tujhe mere in aansuo ki
mera kissa e gham kisi se na kahna
tadpte tadpte agar mar bhi jau
agar mar bhi jau
mere dil ka aalam kisi se na kahna
kisi se na kahna
kasam hai tujhe mere in aansuo ki

game aashiqi ka hai najuk fasana
kahi dil na tute, chaman me kali ka
baharo ke charche to karna khushi se
baharo ke charche to karna khushi se
karna khushi se
magar haale shab na kahna kisi se, na kahna
kasam hai tujhe mere in aansuo ki

wahi raat din hai magar sune sune
wahi zindagi hai magar phiki phiki
satati hai rah rah ke yaade kisi ki
satati hai rah rah ke yaade kisi ki
yaade kisi ki
hai kis haal me hum kisi se na kahna
kisi se na kahna
tadpte tadpte agar mar bhi jau
agar mar bhi jau
mere dil ka aalam kisi se na kahna
kisi se na kahna

mujhe iska dar hai ke duniya me us par
kahi bewafai ki tauhmat na aaye
mohabbat ki dhun me kabhi ban gaya tha
mohabbat ki dhun me kabhi ban gaya tha
kabhi ban gaya tha, koi mera hamdam
kisi se na kahna, kisi se na kahna
kasam hai tujhe mere in aansuo ki
mera kissa e gham
kisi se na kahna, kisi se na kahna