The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Kab Tak Yaad Karu Main Usko
0
Agam Kumar Nigam
Bewafai (Album) (0) Sad Songs
Lyrics of Kab Tak Yaad Karu Main Usko - कब तक याद करूँ मैं उसको, कब तक अश्क बहाऊँ

kab tak yaad karu main usko, kab tak ashq bahaau
kab tak yaad karu main usko, kab tak ashq bahaau
yaaron rab se duaa karo, main usko bhul jaau
main usko bhul jaau, main usko bhul jaau
main usko bhul jaau, main usko bhul jaau

maine ishq kiya tha, uski saza bhi maine paayi
uth na paaunga jeevan bhar, aisi thokar khaayi
sabkuch karna is duniya mein, dil na yaar lagana
mere jaisa ishq, tumhe bhi kar dega deewana
dil jalta hai, kaise tumko dil ke daag dikhaau
dil jalta hai, kaise tumko dil ke daag dikhaau
yaaron rab se duaa karo, main usko bhul jaau
main usko bhul jaau, main usko bhul jaau

bhula na sakoge, mujhe bhul kar tum
bhula na sakoge, mujhe bhul kar tum
main aksar tumhe yaad aata rahunga
kabhi khwab bankar, kabhi yaad bankar
kabhi khwab bankar, kabhi yaad bankar
maine ninde tumhari, churata rahunga
bhula na sakoge, mujhe bhul kar tum

kabhi jee raha hu, kabhi mar raha hu
mujhe na pata, main kya kar raha hu
kabhi bujh raha hu, kabhi jal raha hu
kadam rokte hai, magar chal raha hu
main yu hi chalunga, milo na milo tum
main aawaz dekar bulata rahunga
bhula na sakoge, mujhe bhul kar tum

tujhme aur teri yaad me, bas farq hai itna
tujhme aur teri yaad me, bas farq hai itna
tu to bewaqt aati hai, yaad har waqt aati hai
tu to bewaqt aati hai, yaad har waqt aati hai