The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke
0
Mohammed Rafi Roshan Leela Chitnis, Rajeev, Tanuja
Nai Umar Ki Nai Fasal (1966) Neeraj
Lyrics of Isko Bhi Apnata Chal, Raahi Hai Sab Ek Dagar Ke - इसको भी अपनाता चल, राही हैं सब एक डगर के

isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal
raahi hai sab ek dagar ke sab par pyar lutata chal
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata cha

idhar kafan tak nahi laash par udhar numaayish resham ki
yahan swayavar kare chandani vahan na raat kate gam ki
dharati kakar patthar mare ambar ugle angare
koi puchhe bat na is bagiya me dukhiyaa shabnam ki
sukh ki umr badhata chal, dukh ko kafan odhaata chal
mile jahan bhi mahal use kutiya ke pas bulata chal
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal

bikaa biki sab or machi hai aane yaa do aano par
ismat bike doraaho par to pyaar bike dukano par
dagar dagar par mandir masjid qadam qadam par gurudvare
bhagvano ki basti me hai zulm bahut insano par
khidaki har khulavata chal, sankal har katavata chal
is par bhi roshani na ho to dil kaa diyaa jalata chal
isko bhi apnata chal, usko bhi apnata chal
rahi hai sab ek dagar ke sab par pyaar lutata chal
isko bhi apnata chal

hirdey hirdey ke bich khaiyaan lahu bichhaa maidano me
ghum rahe hai yuddh sadak par shanti chhipi shamshano me
zanjire kat gai magar azaad nahi insan abhi
duniya bhar ki khushi qaid hai chandi jade makano me

tat tat raas rachataa chal, panghat panghat gaataa chal
pyasaa hai har pran nayan kaa gagaa jal chhalkata chal
isko bhi apnata chal

nayan nayan tarse sapno ko aanchal tarse phulo ko
aangan tarse tyoharo ko galiya tarse jhulo ko
kisi hoth par baje na basi kisi haath me bin nahi
umar samudar ki de daali kis ne chad babulo ko
soi kiran jagata chal, ruthi subhe manata chal
pyaar naqaabo me na band ho har ghunghat khulvatachal
isko bhi apnta chal, usko bhi apnta chal