The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Lyrics of Garibo Ki Suno Wo Tumhari Sunega - गरीब की सुनों वो तुम्हारी सुनेगा

chahe lakh karo tum puja tirath karo hajar
din dukhi ko thukaraya to sab kuchh hai bekar

garibo ki suno wo tumhari sunega
garibo ki suno wo tumhari sunega
tum ek paisa doge wo das lakh dega
garibo ki suno garibo ki suno wo
tumhari sunega garibo ki suno wo
tumhari sunega tum ek paisa doge wo
das lakh dega garibo ki suno

bhukh lage to ye bachche ansu pi kar rah jate hain
hay garibo ki majburi kya kya ye sah jate hain
bhukh lage to ye bachche ansu pi kar rah jate hai
hay garibo ki majburi kya kya ye sah jate hain
ye bachapan ke din hain ghadi khelne ki
umar ye nahi aise dukh jhelne ki
taras khao inpe ae aulad valo
utha lo inhe bhi gale se laga lo
utha lo inhe bhi gale se laga lo
murjhaye na phul kahi
ye andhi aur barasat me garibo ki suno

badkismat bimar ye budha
kadam kadam par girta hai
phir bhi inn bachcho ki katir
hath pasare phirta hai
badkismat bimar ye budha
kadam kadam par girta hai
phir bhi inn bachcho ki katir
hath pasare phirta hai
kahi inka ye sath na chhut jaye
anatho ki ye aas bhi tut jaye
kaha jayenge ye mukaddar ke mare
ye bujhte diye timtimate sitare
ye bujhte diye timtimate sitare
inn beghar becharo ki kismat
hai tumhare hath me garibo ki suno