The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Ek Ravan Ko Ram Ne Mara, Ek Ravan Ko Mai Marunga
0
Kishore Kumar Laxmikant Pyarelal
Charanon Ki Saughandh (1988) Anand Bakshi Religious Songs
Lyrics of Ek Ravan Ko Ram Ne Mara, Ek Ravan Ko Mai Marunga - एक रावन को राम ने मारा एक रावन को मैं मारूंगा

ek rawan ko ram ne mara ek rawan ko mai marunga
ek rawan ko ram ne mara ek rawan ko mai marunga
teri lanka aaj ujadunga jai jai shri ram pukarunga
teri lanka aaj ujadunga jai jai shri ram pukarunga

bol shri ram chandar ki jai ek rawan ko ram ne mara
ek rawan ko mai marunga teri lanka aaj ujadunga
jai jai shri ram pukarunga teri lanka aaj ujadunga
jai jai shri ram pukarunga

ye anokhi reet re bhaiya is neele akash tale
har koi ek baar jale lekin rawan har sal jale
ye anokhi reet re bhaiya is neele akash tale
har koi ek baar jale lekin rawan har sal jale
ab ke baras dharti ke sar se ab ke baras dharti ke sar se
mai ye bojh utarunga teri lanka aaj ujadunga
jai jai shri ram pukarunga teri lanka aaj ujadunga
jai jai shri ram pukarunga

jab anyay hua chali hai nayay ki talwar yaha
jab jab atyachar hua aya koi awtar yaha
jab anyay hua chali hai nayay ki talwar yaha
jab jab atyachar hua aya koi awtar yaha
ram na jane kab aaye ram na jane kab aaye
mai kab tak bat niharunga teri lanka aaj ujadunga