The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Ek Hasinaa Thi, Ek Diwaanaa Thaa
0
Asha Bhosle, Kishore Kumar Laxmikant Pyarelal Rishi Kapoor, Simi Garewal, Tina Munim
Karz (1980) Anand Bakshi Rock Songs
Lyrics of Ek Hasinaa Thi, Ek Diwaanaa Thaa - एक हसीना थी,एक दीवाना था

romeo juliet, laila majnu
sheeri aur farhaan inka sachcha ishk
jamane ko ab tak hai yaad
yaad yaad mujhe aaya hai aise dilbar ka naam
jisne dhokha dekar naam-ae-ishk kiya badnaam
yahi hai saybaan kahani pyar ki
kisi ne jaan li, kisine jaan di

ek hasina thi, ek deewana tha
kya umar, kya sama, kya jamana tha
ek hasina thi hasina thi, ek deewana tha deewana tha
kya umar, kya sama, kya jamana tha

ek din wo mile, roj milne lage
ek din wo mile, roj milne lage
phir mohabbat hui, bas kayamat hui
kho gaye tum kaha, sunke ye daasta
log hairan hai, kyunki anjaan hai
ishk ki wo gali, baat jiski chali
uss gali me mera aana jana tha
ek hasina thi, ek deewana tha
kya umar thi, kya sama tha, kya jamana tha
ek hasina thi, ek deewana tha

us hasin ne kaha us hasin ne kaha, suno jane wafa
ye falak ye jami, tere bin kuchh nahi
tujhpe marti hu main, pyar karti hu main
baat kuchh aur thi, wo nazar chor thi
uske dil me chhupi chaah daulat ki thi
pyar ka wo fakat ek bahana tha
ek hasina thi, ek deewana tha
kya umar thi, kya sama tha, kya jamana tha
ek hasina thi, ek deewana tha

bewafa yaar ne apne mehboob se, aisa dhokha kiya
aisa dhokha kiya, aisa dhokha kiya
aisa dhokha kiya, jaher usko diya
dhokha dhokha dhokha dhokha, jaher usko diya

mar gaya wo jawa mar gaya wo jawa, ab suno daasta
janm leke kahi, phir wo pahucha wahi
shakl anjaan thi, ab wo hairan thi
samna jab huwa samna jab huwa, phir wahi sab huwa
uspe ye karz tha, uska ye farz tha
farz ko karz apna chukana tha