Lyrics of Ek Akela Iss Shahar Me, Rat Me Aur Dopahar Me - एक अकेला शहर में, रात में और दोपहर में
ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me
aabodana dhundta hai
aashiyana dhundta hai
ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me
aabodana dhundta hai
aashiyana dhundta hai, ek akela is shehar me
din khali khali bartan hai
din khali khali bartan hai
aur raat hai jaise andha kuan
in suni andheri aankho se
aansu ki jagah aata hain dhuan
jine ki vajah to koyi nahi
marne kaa bahana dhundta hai
dhundta hai, dhundta hai
ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me
aabodana dhundta hai
aashiyana dhundta hai, ek akela is shehar me
in umar se lambi sadko ko
in umar se lambi sadko ko
manjil pe pahunchte dekha nahi
bas daudti phirti rahti hain
hamne to theharte dekha nahi
is ajnabi se shehar me
jana pehachana dhundta hai
dhundta hai, dhundta hai
ek akela is shehar me, raat me aur dopahar me
aabodana dhundta hai
aashiyana dhundta hai, ek akela is shehar me