The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Doston Se Jhuthi Muti, Chupake Se Raat Ki Chadar Tale
0
Murtaza Ghulam Mustafa, Qadir, Sadhana Sargam A R Rahman Rani Mukherjee, Vivek Oberoi
Saathiya (2002) Gulzar Intezaar, Romantic Songs
Lyrics of Doston Se Jhuthi Muti, Chupake Se Raat Ki Chadar Tale - दोस्तों से झूठी मुठी चुपके से रात की चादर तले

dosto se
dosto se jhuti muti dusro ka naam leke, phir meri baate karna
yaara raat se din karna
lambi judaai teri bada mushkil hai, aaho se dil bharna
yaara raat se din karna
kab ye puri hogi, dur ye duri hogi
kab ye puri hogi, dur ye duri hogi, roj safar karna
yaara raat se din karna

chupke se, chupke se raat ki chaadar tale
chaand ki bhi aahat naa ho, baadal ke pichhe chale
jale katra katra, gale katra katra
raat bhi naa hile aadhi aadhi
raat bhi naa hile aadhi aadhi ye
chupke se lag ja gale, raat ki chadar tale

farvari ki sardiyo ki dhup me, mundimundi ankhiyo se dekhna
haath ki aad se niminimi thand aur aag me
haule haule marva ke raag me, mir ki baat ho
din bhi na dube raat naa aaye, shaam kabhi naa dhale
shaam dhale to subah na aaye, raat hi raat chale
chupke se, chupke se raat ki chaadar tale
chaand ki bhi aahat naa ho, baadal ke pichhe chale
dosto se jhuti muti dusro ka naam leke, phir meri baate karna
yaara raat se din karna
lambi judaai teri bada mushkil hai, aaho se dil bharna
yaara raat se din karna
kab ye puri hogi, dur ye duri hogi
kab ye puri hogi, dur ye duri hogi, roj safar karna
yaara raat se din karna

tujh bina pagli ye purvai
tujh bina pagli ye purvai, aake meri chunari me bhar gayi
tu kabhi aise hi, gale lag jaise ye purvai
aa gale lag jaise ye purvai
saathiya sun tu
kal jo mujhko nind naa aaye, paas bula lena
god me apni sar rakh lena, lori suna dena
chupke se, chupke se raat ki chaadar tale
chaand ki bhi aahat naa ho, baadal ke pichhe chale