The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Lyrics of Dil Ka Koi Tukda - दिल का कोई टुकड़ा

dil ka koi tukda kabhi, dil se juda hota nahin
apna koi jaisa bhi ho, apna hai vo dooja nahin
yehi vo milan hai jo sachmuch hai, dil ka karaar kya kehna
khile khile chehron se aaj, ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
aye dil laaya hai bahaar, apnon ka pyaar kya kehna
milein hum chhalak utha, khushi ka khumar kya kehna

kuchh apne hi tak yoon nahin, ye hai sawaal sabke liye
jeena hai to jag mein jiyo, banke misaal sabke liye
dekho kaisa mehek raha pyaar bhari, baahon ka haar kya kehna
khile khile chehron se aaj, ghar hai mera gule gulzaar kya kehna
aye dil laaya hai bahaar, apnon ka pyaar kya kehna
milein hum chhalak utha, khushi ka khumar kya kehna

jo ho gaya so ho gaya, logon se tu darna nahin
saathi tere hain aur bhi, duniya mein tu tanha nahin
saamna karenge milke chaahe dus ho, chaahe hazaar kya kehna