The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Chand Kya Hai
0
Asha Bhosle, Kishore Kumar Ganesh Vinod Khanna
Dhamkee (1973) Asad Bhopali Romantic Songs
Lyrics of Chand Kya Hai - चाँद क्या है

chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan
chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan

jab se tum sang preet lagai
jab se tum sang preet lagai
hamko ek pal nind na aayi
rani ho rani meri nas nas le angadayi
du mai sari raat duhai raja ho raja
kaho na raat ki sari kahani
raat kya hai nind ki chilman
nind kya hai hosh ki dusman
hosh kya hai diwanapan
chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan

raat ko apna chand pyara
ho raat ko apna chand pyara
mujhko pyara pyar tumhara
raja ho raja sagar ki hai jaan kinara
meri jan hai pyar tumhara
rani ho rani
aji hum jante hai tum batao
jaan kya hai saans ka bandhan
saans kya hai aas ka jiwan
aas kya hai chand si dulhan
chand kya hai rup ka darpan
are rup kya hai preet ka angan
preet kya hai dil ki dhadkan
chand kya arey rup kya
are preet kya are dhadkan kya