The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Bhool Ja Ae Dil Mohabbat Ka Fasana
0
Lata Mangeshkar Sajjad Hussain
Khel (1950) Shams Azimabadi Sad Songs
Lyrics of Bhool Ja Ae Dil Mohabbat Ka Fasana - भूल जा ऐ दिल मोहब्बत का फ़साना

bhul ja ae dil mohabbat ka fasana
kisi se dil lagana
dil na aayega palat kar wo zamana
wo sapna tha suhana

yaad aati hai tujhe ab
kyun wo raate pyar ki
aur wo baate pyar ki
yaad aati hai tujhe ab
kyun wo raate pyar ki
aur wo baate pyar ki
bhul ja ulfat ke mithe geet gaana
wo sapna tha suhana
bhul ja ae dil mohabbat ka fasana
kisi se dil lagana

tera gulshan lut gaya
tera gulshan lut gaya
tera nasheman jal gaya
haye jal gaya
din khushi ka dhal gaya
ab wo gulshan hai na ab wo aashiyana
wo sapna tha suhana
bhul ja ae dil mohabbat ka fasana
kisi se dil lagana

ab to sari zindagi
aasu bahana hai tujhe
dil jalana hai tujhe
ab to sari zindagi
aasu bahana hai tujhe
dil jalana hai tujhe
ab kahan kismat me teri muskurana
wo sapna tha suhana
bhul ja ae dil mohabbat ka fasana
kisi se dil lagana