The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Aansu Na Baha Kar Yaad Use, Jo Is Sansar Ka Daata Hai
0
Mohammed Rafi Lachchhi Ram
Guru Ghantal (1956) P. Gaafil Sad Songs
Lyrics of Aansu Na Baha Kar Yaad Use, Jo Is Sansar Ka Daata Hai - आँसू ना बहा कर याद उसे,जो इस संसार का दाता है

aansu na baha kar yaad use
jo is sansar ka data hai
jo is sansar ka data hai
mayus na ho is duniya ke
wo bigde kam banata hai
wo bigde kam banata hai

rakh aas usi par tu bande
kashti ko bhawar me jane de
phir dekh teri naiya ko
wo kaise par lagata hai

jo hota hai tu hone de
anhoni bat na hogi kabhi
na hogi kabhi jo unke sahare jite hai
wo unki laaj bachata hai
hai man me sacha pyar agar
to milega man ka mit tujhe
wo jivan ki phulwari me
aasha ke phul khilata hai

jo unke sahare jite hai
wo unki laaj bachata hai
wo unki laaj bachata hai
aansu na baha kar yaad use
jo is sansar ka data hai